Lock-down Depression: Screenplay

Share:


 
Note: ©All the rights reserved. Under SWA 37334 by Ashok Kumar

 


Lock-down Depression. E1




Message of PM to the nation. After 30 days of lock down. Aditya taiyaar ho rha hai. Shirt pahanta hai. Baal bnaata hai. Mirror mein do baar khud ko dekhta hai.

Aditya: Bhai taala kidhar hai? ‘M C S’

Vikas: Kya? (vikas Bed par leta hua hai.) ‘M. C.S’

Aditya: taalaa.

Vikas: mujhe kya pta, par tu jaa kahan rha hai?

Aditya: job par.

Vikas: job par!! Kaunsi job par

Aditya: where is the lock?

Vikas: I don’t know bro? bhai baahar lockdown chal rha hai.

Aditya: lockdown? (Tear comes) Kab khatam hoga ye lockdown? Main pagal ho gya

Hoon mujhse ab aur nhi hoga, main aur ghar mein nhi reh skta. Akhir kab tak

B – Roll: Rahul darwaze se vapis ander aane lag jaata hai. ‘M. S’

Police logon ko pit-ti hui. Police Siren. (Edit only)

Vikas: vaise bhi ye saal sirf zinda rehne ke liye hai aur araam karne ke liye. Survival

Year. Nothing else. Vikas karvat badal kar so jaata hai.

Fade Out:

Adiya reads a book and put it on the table.

Aditya: bhai saara din khaali baitha rehta hai kuch kar le

Vikas: kar to raha hoon.

Aditya: kya kar rha hai.

Vikas: araam.

Aditya: so kar apna time kyon kharaab kar rha hai?

vikas: saala time hi bahut hai mere paas khtam hi nhi ho rha hai.. vaise tune jaag kar kya Ukhaad liya hai.

Aditya mocks. Fade Out.







Lockdown Depression… E2




-- Aditya is working. (O. S – shot)

-- He typing a mail and send it. (C. S, Keyboard short)

-- Chai ka cup utha kar chai peeta hai. (C.S Shot)

-- YouTube par video dekhta hai. 3 second baad video change kar deta hai.

Usko kuch bhi pasand nhi aa rha hai. (O.S)

-- Balcony se bahar ki dunia dekhta hai. (O.S)

-- Mobile par video bnata hai. Video bna kar delete kar deta hai. Phir ander

akar baith jaata hai. (O.S)

-- Kuch samjh nhi aa rha hai kya kare? Bechain hai.( M.S)

-- Bed par let jaata hai. Mobile scroll karta hai. Mobile scroll kartey kartey so

jaata hai. (O.S)

Ankhein band ho jaati hain. (M.S)

Aditya: kya kar rha hai murkh… abhi todhi der pehle hi to soya tha…Phir se so rha hai… aadmi hai ki kutta? (Dream shot. B&W.) (‘F.S’) ‘C.S’

Aditya ki ankh khul jaati hai. Preshaan hain Bechara. (C.S)

Vikas araam se so rha hai.

Vikas: bhai chain nhi aa reha. (M. C.S)

Aditya: gives a look… silent… angry…

Vikas. Dheere-dheere ankhein band kar. Aur so ja. Chill maar.

Try karkey dekh yaar bhut maza aa rha hai. ((Takiye ko pakdey

Huye.))

Fade Out.







Lockdown Depression… E3



Aditya: (on call). Are sir maine testing complete kar li hai bas sub mission baaki hai. (M. C.S)

(Listening) (on side call) haan haan!

No no no no… are sir bas ho jayega. Abhi karta hoon.

Are ek baar bola na kar rha hoon samjh mein nhi aata tere ko…. ruk tere desk par akar tere ko phodta hoon. (dream shot)

Conti: are sir abhi karta hoon.. lo kar diya.. hello sir. vo salary abhi tak nhi aayi.

Call cuts. Beep beep beep. (M. C.S)

Aditya mobile dekh rha hai. Vo mail send karne hi waala tha… ki rukk jaata hai. (Suspense like: mail send karega ki nhi)

Aditya ke mobile par call aata hai. CHINTU Calling… Aditya phone uthata hai.




VOICE: bhai start up dhoob gya. There is no more Company rt now.

Aditya: abhi to meri baat manager se hui hai. Bhai ab vo manager nhi rha…

Aditya looks at mail, and send it. Tabhi usko bhi ek mail pop up hota hai.

Termination mail…... We are sorry to inform you, shortlist due to ‘Pandemic’

Aditya: nhi… nhi … nhi.. he checks his wallet. account balance.

((Song Loot gye haan loot gye.. loot gye hum teri mohabbat mein.. tadap tadap ke… ho ho ho ho ho.))

Fade Out.







Lockdown Depression… E4



Vikas and Aditya.

Vikas: kya hua?

Aditya: wahi jisko soch kar darr lagta tha.. (M.S)

Vikas: kya?

Aditya: START-UP is finished.

Vikas: manager se baat kar.

Aditya: sab chle gye madharch..

Vikas: ab ek hi rasta bacha hai…

Aditya: Kaunsa?

Vikas: jewwan mein pratek Manav karm ke paschaat araam karna

chahta hai.. ((cowboy short)) B& W

Tumne bahut karm kar liya.. ab aaraam karne ka waqt aa

Gya hai…

Aditya: swami… mujhe aisa lagta hai ki main araam kartey-kartey

Marr jaunga… (M.S) B& W

Vikas: araam hi muqti ka sadhan hai… bahagwaan ne samuchi

Manav jaati ko mooka diya hai khud ko jaan-ne ka..

Swayam ko aur sakhsham bananey ka. Karm ki kheti

Toh tumhey ta umar karni hai…. Lekin araam karne ka samay sabko naseeb nhi hota.. isiliye vidhi ke vidhaan ko samjho aur araam karo. ((cowboy short )) B& W

Aditya: par is paapi pet ka kya krun?

Vikas: isko bhukha rehne do…

Aditya: aur bukh ke maare main mar gya toh?

Vikas: putarr tumne muqti mil jayegi.. jeewan mrityun ye sab to

uske haath mein hai…

Aditya: mujhe kya karna hai..

Vikas: bas sanse lete raho.. jab tak chal rhai hai… uske baad ka

kisne dekha hai.

Aditya: mujhe gyat ho gya prabhu. jeewan mein sabse zyada sanse

Zaruri hai… aur corona sanso par hi attack karta hai.

Wah kya leela hai…

Aditya haath jod kar ghutne ke bal baith jaata hai… naman karta hai.

Fade Out.




Continue...










Note: ©All the rights reserved. Under SWA 37334 by Ashok Kumar






















कोई टिप्पणी नहीं

हम आंधी हैं।

यही कोई रात तीन बज रहे थे मैं छत पर सो रहा था अचानक से हवा बहुत तेज़ चलने लगी। अंधी जैसा महसूस हुआ और नींद टूट गयी। मैं बिस्तर उठा कर नीचे अ...